Sharab chodne k kuch upaye
Kaha jata hai koi bhi kaam mushkil nahi hota, to sharab chodna jyada mushkil kaise ho sakta hai, bas sharab chodne ke liye strong will power ki jarurat hoti hai.
Aur agar aapne bhi sharaab ki latt chodne ke thaan li hai to lijiye neeche diye hue Desi Nuskhe daaru chudane mein aapki madad kar sakte hai. Alcohol addicts alcohol detoxification ya rehab center ka sahara bhi le sakta hai.
Sharab Chodne ke Desi Nuskhe in Hindi:
Pura din jyada se jyada paani peena chahiye.
Nutritious aur ek dum balanced diet leni chahiye.
Fatty foods nahi khane chahiye.
Sabse jaruri baat sharab ki botal ko kahi bhi aas pass nahi rakhein.
Agar ek dum se nahi chhor sakte to quantity pe control karte karte khatam kar dein.
Rojana exercise karni chahiye.
Jitna ho sake cranberry ka juice piyein.
Apne aap ko kisi na kisi kaam mein busy rakhe isse dimaag kaam par lagega aur sharab ki taraf dhyan nahi jayega.
Zyada se zyada parivaar ke saath samay bitaye.
Ho sake to aisi jagah jaana avoid kare jaha sharab se seedha saamna ho.
Khayal rakhein sharaab naa sirf aapke liye nuksaan dayak hai, balki aapke parivar ke saath appke sambandhon ko bigaadti hai. Nashe ke aadat se jitna ho sake utna door rakhein.
Thanks friends.
No comments:
Post a Comment